Band darwaaze ki kundi ab Kon kholega??
Maa ne kaha hai isse band rehene de
Kuch yaadein isme taaza rehene de..
Kaise btaun uc maa ko main
Mera aadha samaan uc kamre ki
Almaari mein band hai
Kuch khilone behen k locker mein maujood hain
Dil krta hai tod dun taala
Fir yaad aata hai
bahut rulaega adhoore किस्सों ka wqt puraana
Maa keheti hai
Khali kamre mein Kya karega
Dil keheta usse na sahi mera Dil diwaaron se bol padega
Wo kuch derr ki baat-cheet hogi
Aur kuch yun mera hasna rona hoga
Fir khud taala band kr mera neeche aana hoga!!
Maa se maine bola -
'Adhoore peheluon ki ek kitaab hai meri
Ankahi baaton ki jisme qataar lagi hai
Nikalne do zaraa unhe bhi bahar
Aise hi na rehe jaaein mere kuch sawaal'
Wo boli tu bhi uc jaisa ziddi hai
Maine kaha chalo dono mein kuch to similarity hai
Wo boli jaa khol le taala
Lekin uski ek bhi cheez ko haath na lagana!!
Bs ab yahi baat zindagi bhar yaad aaegi
Nahi maalum tha maa bhi mujhse ek waada karaegi!!!
- Pushkin Channan

Comments
Post a Comment