Band darwaaze ki kundi ab Kon kholega?? Maa ne kaha hai isse band rehene de Kuch yaadein isme taaza rehene de.. Kaise btaun uc maa ko main Mera aadha samaan uc kamre ki Almaari mein band hai Kuch khilone behen k locker mein maujood hain Dil krta hai tod dun taala Fir yaad aata hai bahut rulaega adhoore किस्सों ka wqt puraana Maa keheti hai Khali kamre mein Kya karega Dil keheta usse na sahi mera Dil diwaaron se bol padega Wo kuch derr ki baat-cheet hogi Aur kuch yun mera hasna rona hoga Fir khud taala band kr mera neeche aana hoga!! Maa se maine bola - 'Adhoore peheluon ki ek kitaab hai meri Ankahi baaton ki jisme qataar lagi hai Nikalne do zaraa unhe bhi bahar Aise hi na rehe jaaein mere kuch sawaal' Wo boli tu bhi uc jaisa ziddi hai Maine kaha chalo dono mein kuch to similarity hai Wo boli jaa khol le taala Lekin uski ek bhi cheez ko haath na lagana!! Bs ab yahi baat zindagi bhar yaad aaegi Nahi maalum tha maa bhi mujhse ek waada karaegi!!! - Push
Driven by the means to communicate.....