Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2019

'कुछ ज़िन्दगी ऐसी भी'

tum mehelon mein jiya krte ho hm sadko pr palaa krte hain bs kuch yun hi upar aur neeche ki hm tum zindagi jiya krte hain khwahishon ka katl hamne hote dekha hai tumhare sapno ko pura hamne hote dekha hai mehelon ko hamne bhi bahar se khoob parkha hai unme panaah lene ka hamne bhi sapna dekha hai kuch yun nahi hoti muqammal zindagi kuch lamho ko bhoolna padta hai kuch apno chhodna padta hai apne khud k ghonsle se bahar nikalna padta hai gair ko apna aur apno ko gair kehena padta hai zindagi likh deti hai har mod pr nayi daastan uc pr chalna bhi kahan sbko gawara padta hai kuch yun hi bhool jaate hain kuch zabardasti bhulaaye jaate hain zindagi hai koi kahaani nahi kisse puraane hote hi naye jud jaate hain!!! - Pushkin Channan

अपनों की कहानि है...

" अपनों की कहानि है... भुलाए गए कुछ रिश्तों की कुछ बाकी निशानी है निकल गए जो मन्जिल की ओर 'वो' उन्हें कुछ अधूरी दास्तां सुनानी है। अपनी दुनिया जो छोड़ आए वो उनकी याद 'उनको' दिलानी है थम गए जो पल किसी के जाने से जरा सा कुछ देर मिल कर उनमें भी तो जान लानी है!!! रिश्ते 'शायद' जो पराए कर आए उनके 'आज' भी सगे होने की 'उनको' बात बतानी है। वक्त की चादर ओढ़े ना जाने कहाँ कदम बढ़ाए जा रहे है नकाप ओढै चेहरे पर 'दो' ना जाने 'वो' किधर कि ओर बढ़ रहे हैं...." - Pushkin Channan

Beete saal ki kahaaani hai

"Beete saal ki kahaaani hai Kuch meri zubaani hai Zindagi ki halchal se bhari Shahar k dhool se door ki ek kahaaani hai. Kuch yun har roz ka ladna jhagadna tha Kuch yun ek doosre ka manana tha Derr saver kuch yun hi baaton ka hona tha beeti raat dil ki baat ka zubaan pr aana hota tha. kuch yun zindagi ne jeena sikha diya umar k saath sapno ka samjhota krna sikha diya kahan hoti hain ab wo roz ki baat-cheet umar kya hui insaan khud mein simat kr rehe gaya"  - Pushkin Channan